manta nahin meri hujjaten bhi karta hai
baat baat mein apni jiddaten bhi karta hai
aag bhi lagata hai aap apne daman mein
phir use bujhane ko barishen bhi karta hai
ishq KHud se hai us ko aur KHud hi wo pagal
apna aap khone ki sazishen bhi karta hai
dil mein jite rahne ki aas baDhti rahti hai
sath sath marne ki KHwahishen bhi karta hai
jaan-kani ke aalam mein yaad kar ke pyaron ko
maut ke farishte se mannaten bhi karta hai
mujh se thoDa Darta hai pas yun nahin aata
baqiyon se to akasr KHalwaten bhi karta hai
mujh se kahta rahta hai KHush raha karo nan tum
aur dil dukhane ki harkaten bhi karta hai
baat bhi nahin karta mujh se aur phir apni
ek ek aadat mein mantiqen bhi karta hai
kuchh alag sa hai sab se kuchh ajab wo hai 'zehra'
apni har mohabbat mein shiddaten bhi karta hai
Ghazal
Manta nahin meri hujjaten bhi karta hai
Urooj Zehra Zaidi