اردو हिंदी
Manind-e-shama-majlis shab ashk-bar paya | Shaahi Shayari
manind-e-shama-majlis shab ashk-bar paya

Ghazal

Manind-e-shama-majlis shab ashk-bar paya

Mir Taqi Mir

;

manind-e-shama-majlis shab ashk-bar paya
al-qissa 'mir' ko hum be-iKHtiyar paya

ahwal KHush unhon ka ham-bazm hain jo tere
afsos hai ki hum ne wan ka na bar paya

jite jo zof ho kar zaKHm-e-rasa se us ke
sine ko chaak dekha dil ko figar paya

shahr-e-dil ek muddat ujDa basa ghamon mein
aaKHir ujaD dena us ka qarar paya

itna na tujh se milte ne dil ko kho ke rote
jaisa kiya tha hum ne waisa hi yar paya

kya e'tibar yan ka phir us ko KHwar dekha
jis ne jahan mein aa kar kuchh e'tibar paya

aahon ke shole jis ja uThte the 'mir' se shab
wan ja ke subh dekha musht-e-ghubar paya