اردو हिंदी
Mani-taraaziyan hain rangin-bayaniyan hain | Shaahi Shayari
mani-taraaziyan hain rangin-bayaniyan hain

Ghazal

Mani-taraaziyan hain rangin-bayaniyan hain

Mela Ram Wafa

;

mani-taraaziyan hain rangin-bayaniyan hain
duniya mein jitne munh hain utni kahaniyan hain

mani-taraaziyan ya rangin-bayaniyan hain
ye bhi kahaniyan hain wo bhi kahaniyan hain

kya mehrbaniyan thin kya mehrbaniyan hain
wo bhi kahaniyan thin ye bhi kahaniyan hain

ek bar us ne mujh ko dekha tha muskura kar
itni si hai haqiqat baqi kahaniyan hain

sunta hai koi kis ki kis ko sunae koi
har ek ki zaban par apni kahaniyan hain

kuchh baat hai jo chup hun main sab ki sun ke warna
yaad ai 'wafa' mujhe bhi sab ki kahaniyan hain