mani-o-mafhum kya hon ishq ke mazmun mein
jis tarah koi KHayal aae dil-e-majnun mein
ishq se hoti hai is shiddat ki garmi KHun mein
khaulta hai jaise dariya dopahar ko june mein
jism mein rag rag phaDak uThti hai soz-e-ishq se
garm-e-tughiyan jis tarah amwaj hon jaijun mein
husn se wazeh hui hai manawiyyat ishq ki
shamil-e-mafhum hai unwan bhi mazmun hai
yun to hain ajza bahut se shamil-e-tarkib-e-ishq
aarzu lekin sar-e-daru hai is majun mein
is tarah hun qaidi-e-haalat 'bismil' jis tarah
sher ho pinjre mein ya shah-e-zafar rangun mein
Ghazal
Mani-o-mafhum kya hon ishq ke mazmun mein
Bismil Saeedi