mani ne jo dekha teri taswir ka naqsha
sab bhul gaya apni wo tahrir ka naqsha
us abru-e-KHamdar ki surat se ayan hai
KHanjar ki shabahat dam-e-shamshir ka naqsha
kya gardish-e-ayyam hai ai aah-e-jigar-soz
ulTa nazar aaya teri tasir ka naqsha
din raat tere kuche mein rowe hai hamesha
aashiq ke ye hai mansab o jagir ka naqsha
tadbir to kuchh ban nahin aati hai 'nazir' aah
ab dekhiye kya hota hai taqdir ka naqsha
Ghazal
Mani ne jo dekha teri taswir ka naqsha
Nazeer Akbarabadi