mani ko bhula deti hai surat hai to ye hai
nature bhi sabaq sikh le zinat hai to ye hai
kamre mein jo hansti hui aai mis-e-rana
teacher ne kaha ilm ki aafat hai to ye hai
ye baat to achchhi hai ki ulfat ho mison se
hur un ko samajhte hain qayamat hai to ye hai
pechida masail ke liye jate hain england
zulfon mein ulajh aate hain shamat hai to ye hai
public mein zara hath mila lijiye mujh se
sahab mere iman ki qimat hai to ye hai
Ghazal
Mani ko bhula deti hai surat hai to ye hai
Akbar Allahabadi