mangna kaam mujh sawali ka
baKHshna teri zat-e-ali ka
kyun giraya hai apni nazron se
hukm kar de meri bahaali ka
tu hi wo phul hai jo hai mahbub
patte patte ka Dali Dali ka
baat jo bhi kaho wo saf kaho
kaam kiya fazl-e-ehtimali ka
jal bujhunga bhaDak ke dam bhar mein
main hun goya diya diwali ka
'nadir' aisa kalam hai mera
sad hai jis pe la-zawali ka

Ghazal
Mangna kaam mujh sawali ka
Nadir Shahjahanpuri