mange hai tere milne ko be-tarah se dil aaj
kal kya hai jo milna hai meri jaan tu mil aaj
phir subh se aashob-e-qayamat hai jahan mein
chehre pe tere kin ne banaya hai ye til aaj
ai girya tu KHatir se meri kijo na sarfa
main KHun-e-dil-KHasta kiya tujh pe bahil aaj
chahe hai agar kal ko teri nashw-o-numa ho
dil khol ke dane ki tarah KHak mein ril aaj
kya sina jo taDphon ko nigah ki teri jhele
is tir se rah jae na faulad ki sil aaj
ya-rab na paDe asl se apni koi yan dur
ye aab tha sab jitni ki dekhe hai tu gil aaj
'qaem' ye ghazab kal to na TuTe tha tere par
dekha hai kahin tin wo but-e-mehr-gusil aaj
Ghazal
Mange hai tere milne ko be-tarah se dil aaj
Qayem Chandpuri