manga tha hum ne din wo siyah raat de gaya
suraj hamein andhere ki saughat de gaya
sikke mere KHulus ke lauTa diye mujhe
apni samajh mein wo mujhe KHairaat de gaya
us ko ye zoam tha ki hai wo shaukat-e-chaman
jangal ka ek phul use mat de gaya
us ki hansi mein lai thi kis jal-tarang ki
mere labon ko pyar ke naghmat de gaya
mazmun-e-ishq par use kaamil giraft thi
nazron se kaise kaise hawalat de gaya
chehre se le gaya meri pahchan chhin kar
na-sazgar waqt wo sadmat de gaya
sab par meri nigah-e-karam ek si rahi
main banjh dhartiyon ko bhi barsat de gaya
insaf mujh ko de ki na de wo magar 'shabab'
thoDa sa waqt bahr-e-mulaqat de gaya
Ghazal
Manga tha humne din wo siyah raat de gaya
Shabab Lalit