mana wo ek KHwab tha dhoka nazar ka tha
us bewafa se rabt magar umr-bhar ka tha
KHushbu ki chand mast lakiren ubhaar kar
lauTa udhar hawa ka wo jhonka jidhar ka tha
nikla wo bar bar ghaTaon ki oT se
us se muamla to faqat ek nazar ka tha
tum muskura rahe the to shab sath sath thi
aansu gire the jis pe wo daman sahar ka tha
hum aaj bhi KHud apne hi sae mein ghir gae
sar mein hamare aaj bhi sauda safar ka tha
sahra ke sar ki mang hai ab tak wo ek lakir
hasil jise ghurur teri rahguzar ka tha
kali kiran ye gung sadaon ke daere
pahuncha kahan 'rashid' irada kidhar ka tha
Ghazal
Mana wo ek KHwab tha dhoka nazar ka tha
Rasheed Qaisrani

