اردو हिंदी
Mana wo ek KHwab tha dhoka nazar ka tha | Shaahi Shayari
mana wo ek KHwab tha dhoka nazar ka tha

Ghazal

Mana wo ek KHwab tha dhoka nazar ka tha

Rasheed Qaisrani

;

mana wo ek KHwab tha dhoka nazar ka tha
us bewafa se rabt magar umr-bhar ka tha

KHushbu ki chand mast lakiren ubhaar kar
lauTa udhar hawa ka wo jhonka jidhar ka tha

nikla wo bar bar ghaTaon ki oT se
us se moamla to faqat ek nazar ka tha

hum muskura rahe the to shab sath sath thi
aansu gire the jis pe wo daman sahar ka tha

panw mein hum ne aaj bhi zanjir Dal di
sar mein hamare aaj bhi sauda safar ka tha

sahra ke sar ki mang hai ab tak wo ek lakir
hasil jise ghurur teri rahguzar ka tha

kali kiran ye gung sadaon ke daere
pahuncha kahan 'rashid' irada kidhar ka tha