mana teri nazar mein tera pyar hum nahin 
kaise kahen ki tere talabgar hum nahin 
sincha tha jis ko KHun-e-tamanna se raat-din 
gulshan mein us bahaar ke haqdar hum nahin 
hum ne to apne naqsh-e-qadam bhi miTa diye 
lo ab tumhaari rah mein diwar hum nahin 
ye bhi nahin ke uThti nahin hum pe ungliyan 
ye bhi nahin ke sahab-e-kirdar hum nahin 
kahte hain rah-e-ishq mein baDhte hue qadam 
ab tujh se dur manzil-e-dushwar hum nahin 
jaanen musafiran-e-rah-e-arzu hamein 
hain sang-e-mil rah ki diwar hum nahin 
pesh-e-jabin-e-ishq usi ka hai naqsh-e-pa 
us ke siwa kisi ke parastar hum nahin
        Ghazal
Mana teri nazar mein tera pyar hum nahin
Naqsh Layalpuri

