mana ki zindagi se hamein kuchh mila bhi hai
is zindagi ko hum ne bahut kuchh diya bhi hai
mahsus ho raha hai ki tanha nahin hun main
shayad kahin qarib koi dusra bhi hai
qatil ne kis safai se dhoi hai aastin
us ko KHabar nahin ki lahu bolta bhi hai
gharqab kar diya tha hamein na-KHudaon ne
wo to kaho ki ek hamara KHuda bhi hai
ho to rahi hai koshish-e-araish-e-chaman
lekin chaman gharib mein ab kuchh raha bhi hai
ai qafile ke logo zara jagte raho
sunte hain qafile mein koi rahnuma bhi hai
hum phir bhi apne chehre na dekhen to kya ilaj
aankhen bhi hain charagh bhi hai aaina bhi hai
'iqbaal' shukr bhejo ki tum dida-war nahin
dida-waron ko aaj koi puchhta bhi hai
Ghazal
Mana ki zindagi se hamein kuchh mila bhi hai
Iqbal Azeem