mana ki tu sawar hai aur main piyaada hun
mujh se hazar na kar ki shanasa-e-jada hun
baatin mein saKHt kafir-o-pur-pech o tah-ba-tah
zahir mein ek ham-safar-e-sahal-o-sada hun
ek shahr-e-zar-nigar hai aqlim-e-sharq mein
us shahr-e-zar-nigar ka main shahzada hun
wa hain daricha-ha-e-KHirad meri ruh par
kis ne kaha KHarab-e-KHarabaat-o-baada hun
ai KHizr! qutb-e-waqt ki ta-chand justuju
mera murid ho ki qawi-ul-irada hon
main ham-rah-e-shamim na uDta saba ke sath?
uftad to yahi hai ki barg-e-fatada hun
tir-afganon ki saf hai udhar aur main idhar
sina-sipar 'rais' ba-qalb-e-kushada hun
Ghazal
Mana ki tu sawar hai aur main piyaada hun
Rais Amrohvi

