mana ki teri bazm mein chand aae hue hain
lekin wo tere samne gahnae hue hain
jo hum se na milne ki qasam khae hue hain
shayad wahi aghyar ke bahkae hue hain
mahtab ke haalat bhi dekhen to kabhi wo
is husn-e-do-roza pe jo itrae hue hain
kah do unhen aa kar meri jannat mein wo bas jaen
jannat se nikale hue jo aae hue hain
aaegi nazar 'raaz' koi kal bhi na sidhi
sar-ta-ba-qadam aaj wo bal khae hue hain

Ghazal
Mana ki teri bazm mein chand aae hue hain
Raaz Layalpuri