mana ki sai-e-ishq ka anjam-kar kya
be-iKHtiyar dil pe magar iKHtiyar kya
har zarra aashiyana-e-dil hai kahin Thahar
sahra-e-zindagi mein talash-e-diyar kya
shayad ki shahr mein koi insan aa gaya
dekho hujum sa hai sar-e-rahguzar kya
sadiyon ka zahr pi ke jo soe wo kya uThe
Dasti hai zindagi ki KHalish bar-bar kya
har zarra lala-zar hai taza lahu ki tarah
barsa hai is dayar mein abr-e-bahaar kya
kyun meri KHak-e-dil ki taraf multafit hain log
kuchh ab bhi rah gaya hai dilon mein ghubar kya
farda hai intizar mein sadiyan liye hue
mazi ke mah-o-sal tumhaara shumar kya
mamur hai nashat-e-gham-e-dil se zindagi
tujh ko 'shamim' fikr-e-gham-e-rozgar kya

Ghazal
Mana ki sai-e-ishq ka anjam-kar kya
Shamim Karhani