mana ki mere zarf se baDh kar mujhe na do
shabnam hi mangta hun samundar mujhe na do
jis ko hawa ke ruKH pe na khola gaya kabhi
ek aise baadban ka muqaddar mujhe na do
diwar jis ki sarhad sahra se ja mile
aisi saza-e-KHana-e-be-dar mujhe na do
lau de rahi hai soch ke waqfa ki KHamushi
har baat ka jawab sambhal kar mujhe na do
kuchh de sako agar to koi KHwab saunp do
saya talash karta hun paikar mujhe na do
main aap apne jurm-o-saza ka harif hun
ilzam-e-shauq sab ke barabar mujhe na do
gar sun sako to 'shaz' ki KHamoshiyan suno
taklif-e-arz-e-haal mukarrar mujhe na do
Ghazal
Mana ki mere zarf se baDh kar mujhe na do
Shaz Tamkanat