mana dukh ko thoDa kam kar deti hain
par KHushiyan bhi aankhen nam kar deti hain
pyar ki kaliyan jab bhi dil mein khilti hain
main aur tum ko aksar hum kar deti hain
jab yaadon ke phul palak par khilte hain
aankhen ashkon ko shabnam kar deti hain
is se ziyaada kaun 'sachin' dhokha dega
jism ko sansen hi be-dam kar deti hain

Ghazal
Mana dukh ko thoDa kam kar deti hain
Sachin Shalini