اردو हिंदी
Mana-e-dasht-nawardi koi tadbir nahin | Shaahi Shayari
mana-e-dasht-nawardi koi tadbir nahin

Ghazal

Mana-e-dasht-nawardi koi tadbir nahin

Mirza Ghalib

;

mana-e-dasht-nawardi koi tadbir nahin
ek chakkar hai mere panw mein zanjir nahin

shauq us dasht mein dauDaye hai mujh ko ki jahan
jada ghair az nigah-e-dida-e-taswir nahin

hasrat-e-lazzat-e-azar rahi jati hai
jada-e-rah-e-wafa juz dam-e-shamshir nahin

ranj-e-naumidi-e-jawed gawara rahiyo
KHush hun gar nala-zabuni kash-e-tasir nahin

sar khujata hai jahan zaKHm-e-sar achchha ho jae
lazzat-e-sang ba-andaza-e-taqrir nahin

jab karam ruKHsat-e-bebaki-o-gustaKHi de
koi taqsir ba-juz KHajlat-e-taqsir nahin

'ghaalib' apna ye aqida hai ba-qaul-e-'nasiKH'
aap be-bahra hai jo mo'taqid-e-'mir' nahin

'mir' ke sher ka ahwal kahun kya 'ghaalib'
jis ka diwan kam-az-gulshan-e-kashmir nahin

aaina dam ko parde mein chhupata hai abas
ki pari-zad-e-nazar qabil-e-tasKHir nahin

misl-e-gul zaKHm hai mera bhi sinan se tawwam
tera tarkash hi kuchh aabistani-e-tir nahin