man mat kar aashiq-e-be-tab ka arman man
jaan kar anjaan mat ho muj kun tu be-jaan jaan
fikr apni nahin mujhe hai us ki bad-nami ka KHauf
mujh kun nam-o-nang ki hai har ghaDi har aan aan
tir o KHanjar mein nahin hai aab-dari is qadar
tujh nigah ki dekh kar jaldi hua qurban ban
dasht-e-wahshat mein nipaT be-kas hun ai aahu-nigah
hun bhikari wasl ka de muj kun is maidan dan
qatl karne par tere hai tegh-bar-kaf wo sanam
sar-kashi mat kar 'siraj' ab jaan ka farman man
Ghazal
Man mat kar aashiq-e-be-tab ka arman man
Siraj Aurangabadi