اردو हिंदी
Mamura-e-afkar mein ek hashr bapa hai | Shaahi Shayari
mamura-e-afkar mein ek hashr bapa hai

Ghazal

Mamura-e-afkar mein ek hashr bapa hai

Raza Hamdani

;

mamura-e-afkar mein ek hashr bapa hai
idrak bhi insan ke liye turfa bala hai

har naqsh agar tera hi naqsh-e-kaf-e-pa hai
phir mere liye koi saza hai na jaza hai

honTon pe hansi sinon mein kohram bapa hai
diwanon ne jine ka chalan sikh liya hai

ab dasht-e-junun bhi jo simaT aae ajab kya
diwana koi le ke tera nam chala hai

ek bar jo TuTe to kabhi juD nahin sakta
aaina nahin dil magar aaina-numa hai

apnon se kabhi maut juda kar nahin sakti
jo TuT gaya hath wo sine pe dhara hai

hum zauq-e-samaat se hain mahrum wagarna
har qatra-e-shabnam mein dhaDakne ki sada hai

wo samne aae hain kuchh is turfa ada se
aadab mohabbat ke bhi dil bhul gaya hai

dhaDka ye laga hai ki sahar aae na aae
is gham se sar-e-sham hi dil Dub raha hai