mal-o-mata-e-dasth sarabon ko de diya
jo kuchh zar-e-KHayal tha KHwabon ko de diya
rakhne ka jo guhar tha use dil mein rakh liya
bikne ka tha jo mal kitabon ko de diya
sabzon ko KHush-libas bana kar zamin ne
kuchh rashk ka jawaz gulabon ko de diya
apne lahu ki bund bana kar dam-e-nashat
ek soz-e-la-zawal sharabon ko de diya
aae na jab giraft mein saif-o-qalam 'naim'
apna tamam karb rababon ko de diya
Ghazal
Mal-o-mata-e-dasth sarabon ko de diya
Hasan Nayeem