mail jo aaj-kal nigah-e-nim-baz hai
wo dil TaTolte hain ki kitna gudaz hai
tarikiyon mein waqt ki raftar kho gai
ye sham-e-gham hai ya teri zulf-e-daraaz hai
toDe hazar jam sharabon mein Dub kar
milta nahin jo in ki nigahon mein raaz hai
ab wo sitam karen ki karam hum ko kya gharaz
dil un ko de ke ishq bahut be-niyaz hai
tum nang jaan kar ise chaho to bhul jao
hum ko to ab bhi apni mohabbat pe naz hai

Ghazal
Mail jo aaj-kal nigah-e-nim-baz hai
Mushtaq Naqvi