mahaul sazgar karo main nashe mein hun
zikr-e-nigah-e-yar karo main nashe mein hun
ai gardisho tumhein zara taKHir ho gai
ab mera intizar karo main nashe mein hun
main tum ko chahta hun tumhin par nigah hai
aise mein e'tibar karo main nashe mein hun
aisa na ho ki saKHt ka ho saKHt-tar jawab
yaro sambhal ke war karo main nashe mein hun
ab main hudud-e-hosh-o-KHirad se guzar gaya
Thukrao chahe pyar karo main nashe mein hun
KHud 'tarz' jo hijab mein ho us se kya hijab
mujh se nigahen chaar karo main nashe mein hun
Ghazal
Mahaul sazgar karo main nashe mein hun
Ganesh Bihari Tarz