mabad-e-zist mein but ki misal jaDe honge
ye nanhe bachche jis roz baDe honge
itne dukhi is darja udas jo sae hain
raat ke dasht mein tez hawa se laDe honge
dhup ke qahr ki lazzat ke shaidai hain
ye ashjar bhi KHwab se chaunk paDe honge
hum ko KHala ki wusat se fursat na mili
lakh KHazane is dharti mein gaDe honge
wo din hoga aaKHiri din hum sab ke liye
aaina dekhne jab hum log khaDe honge
Ghazal
Mabad-e-zist mein but ki misal jaDe honge
Shahryar