maal-e-soz-e-talab tha dil-e-tapan malum
sitam ki aag bhi hone lagi dhuan malum
shikasta-pa bhi pahunch hi gae sar-e-manzil
na raste ki KHabar thi na karwan malum
shamim-e-dost baDhati hai zindagi lekin
hamein haqiqat-e-hasti abhi kahan malum
na jaane fitna-garon ne lagai thi kab aag
hamein to aanch hui us ki na-gahan malum
guzar chuke had-e-tufan se moD lo kashti
yahan se hote hain sahil ke kuchh nishan malum
bichhaD ke aap se kya kya guzar gai dil par
kahun kisi se to ho us ko dastan malum
ubhar ke kahte hain phulon se KHar-e-gham 'ahsan'
ki hum na hon to na ho rang-e-gulsitan malum
Ghazal
Maal-e-soz-e-talab tha dil-e-tapan malum
Ahsan Rizvi Danapuri