اردو हिंदी
Maal-e-shab ba-unwan-e-sahar kahna hi paDta hai | Shaahi Shayari
maal-e-shab ba-unwan-e-sahar kahna hi paDta hai

Ghazal

Maal-e-shab ba-unwan-e-sahar kahna hi paDta hai

Manzoor Husain shor

;

maal-e-shab ba-unwan-e-sahar kahna hi paDta hai
koi rasta ho us ki rahguzar kahna hi paDta hai

wo sannaTa KHirad kahti hai jis ko ghar ki virani
use bhi raunaq-e-diwar-o-dar kahna hi paDta hai

sulag jata hai sina jis ki ThanDi sarsarahaT se
us aatish ko bhi yan baad-e-sahar kahna hi paDta hai

sharik-e-rahguzar koi nahin hota magar phir bhi
yahan har rah-rau ko ham-safar kahna hi paDta hai

musallam gul-kadon ki lala-samani magar hamdam
sharar-o-barq ko bhi mo'atabar kahna hi paDta hai

ba-har-surat guzar jati hai jo dil par guzarti hai
magar phir apne ghar ko apna ghar kahna hi paDta hai

kuchh aise bhi fasane mahfilon mein chheDe jate hain
ki jin ko ehtiyatan muKHtasar kahna hi paDta hai

KHamoshi ek majburi takallum ek mahrumi
kisi se kah nahin sakte magar kahna hi paDta hai