maal-e-naghma-o-matam faroKHt hota hai
KHushi ke sath yahan gham faroKHt hota hai
wo jis ko aaj bhi kuchh log husn kahte hain
ba-sad-nigarish-e-paiham faroKHt hota hai
fareb-KHurda tabassum KHaridne ke liye
waqar-e-dida-e-pur-nam faroKHt hota hai
baDe hasin ghanere siyah pardon mein
jamal-e-ismat-e-maryam faroKHt hota hai
bahaar-e-wadi-e-gang-o-jaman ke sath yahan
waqar-e-kausar-o-zamzam faroKHt hota hai
wo jism-e-marmarin nazren bhi jis ko chhu na sakin
barae-raunaq-e-alim faroKHt hota hai
tilism-KHana-e-sad-rang-o-bu mein ai 'saghar'
fareb-e-shola-o-shabnam faroKHt hota hai

Ghazal
Maal-e-naghma-o-matam faroKHt hota hai
Saghar Siddiqui