maal-e-ishq-o-mohabbat se aashna to nahin
kahin ye gham bhi teri tarah bewafa to nahin
safine walo chalo aaj dil ki baat kahen
uTho KHuda ke liye naKHuda KHuda to nahin
ye aur baat hai mahaul sazgar na ho
shikasta barbat-e-ehsas be-sada to nahin
baja ki meri tabahi mein un ka hath nahin
magar ye gardish-e-dauran ka hausla to nahin
jumud-e-sehn-e-chaman inqalab-e-nau ki dalil
shuur-e-ghairat-e-ahl-e-chaman mara to nahin
sar-e-niyaz jhuka hai ze-rah-e-zauq-e-sujud
tere karam ki qasam koi muddaa to nahin
Ghazal
Maal-e-ishq-o-mohabbat se aashna to nahin
Sayyad Ashoor Kazmi