ma-siwa se kahin begana banaya hota
apne hi husn ka diwana banaya hota
jam saghar subu KHum-KHana banaya hota
zarf-e-dil dekh ke paimana banaya hota
lau lagata na kisi ghair se ai sham-e-husn
tum ne gar apna hi parwana banaya hota
meri mahrumi-e-qismat ko jo sun pata raqib
utni hi baat ka afsana banaya hota
pahle allah mujhe zabt ki quwwat deta
phir rahin-e-gham-e-jaanana na banaya hota
un ke hathon pe pahunchne ka sharaf hi milta
meri miTTi se jo paimana banaya hota
kash allah ka ghar jaan ke 'shoala' tum ne
kaba-e-dil ko kalisa na banaya hota
Ghazal
Ma-siwa se kahin begana banaya hota
Shola Kararvi

