lun wam baKHt-e-KHufta se yak-KHwab-e-KHush wale
'ghaalib' ye KHauf hai ki kahan se ada karun
KHush wahshate ki arz-e-junun-e-fana karun
jun gard-e-rah jama-e-hasti qaba karun
aa ai bahaar-e-naz ki tere KHiram se
dastar gird-e-shaKH-e-gul-e-naqsh-e-pa karun
KHush uftadgi ki ba-sahra-e-intizar
jun jada gard-e-rah se nigah surma-sa karun
sabr aur ye ada ki dil aawe asir-e-chaak
dard aur ye kamin ki rah-e-nala wa karun
wo be-dimagh-e-minnat-e-iqbaal hun ki main
wahshat ba-dagh-e-saya-e-baal-e-huma karun
wo iltimas-e-lazzat-e-be-dad hun ki main
tegh-e-sitam ko pusht-e-KHam-e-iltija karun
wo raaz-e-nala hun ki ba-sharh-e-nigah-e-ajz
afshan ghubar-e-surma se fard-e-sada karun
Ghazal
Lun wam baKHt-e-KHufta se yak-KHwab-e-KHush wale
Mirza Ghalib