luTi bahaar ka sukha gulab rahne do
hamari aankhon mein koi to KHwab rahne do
nae sire se chalo koi ahd karte hain
wafa jafa ka purana hisab rahne do
tamam-umr guzari hai in dayaron mein
KHulus hoga yahan dastiyab rahne do
KHumar utra nahin hai abhi to ashkon ka
abhi ye saghar-o-mina sharab rahne do
uThae phirte ho kya shahr-e-be-basirat mein
kise dikhaoge dil ki kitab rahne do
abhi to hum pe purane hi qarz baqi hain
sawal kar ke na kahiye jawab rahne do
gira zarur hai lekin mera nahin 'aslam'
takallufat murawwat janab rahne do
Ghazal
LuTi bahaar ka sukha gulab rahne do
Aslam Habeeb