lutf ye hai jise aashob-e-jahan kahta hun
usi zalim ko farogh-e-dil-o-jaan kahta hun
ghair ka zikr hi kya muft mein ilzam na do
dil ki har baat main tum se bhi kahan kahta hun
kisi majbur ke honTon pe jo aa jata hai
us tabassum ko main eajaz-e-fughan kahta hun
na main zindani-e-sahra na asir-e-gulshan
koi bandish ho use ji ka ziyan kahta hun
dil shikasta sahi mayus nahin hun ai dost
main ki har daur ko daur-e-guzaran kahta hun
husn ka shewa-e-paiman-shikani achchha hai
phir bhi har sans ko chashm-e-nigaran kahta hun
koi had hai meri aashufta-sari ki 'taban'
un ki zulfon ko charaghon ka dhuan kahta hun

Ghazal
Lutf ye hai jise aashob-e-jahan kahta hun
Taban Ghulam Rabbani