lutf-saman itab-e-yar bhi hai
mahram-e-ishq sharmsar bhi hai
sust-paiman o be-niyaz sahi
husn taswir-e-intizar bhi hai
kya kare wo nigah-e-lutf ki ishq
shadman bhi hai sogwar bhi hai
gulshan-e-ishq hun KHizan meri
wajh-e-rangini-e-bahaar bhi hai
uqda-e-ishq ko na tu samjha
yahi uqda kushud-e-kar bhi hai
apni taqdir apne hath mein le
shamil-e-jabr iKHtiyar bhi hai
aap apna chaDhaw apna utar
zindagi nashsha hai KHumar bhi hai
un nigahon mein hai shikayat si
ishq shayad jafa-shiar bhi hai
dil se hai dur bhi nigah teri
dil ke andar hai dil ke par bhi hai
sar-ba-sar gharq-e-nur ho lekin
zindagi iktisab-e-nar bhi hai
kaun targhib-e-hosh de ki junun
be-KHabar bhi hai hoshiyar bhi hai
KHalwat-e-husn-o-ishq bhi hai udas
sard kuchh bazm-e-rozgar bhi hai
raaz us aankh ka nahin khulta
dil shakeba bhi be-qarar bhi hai
KHud tujhe bhi hui na jin ki KHabar
un jafaon ka kuchh shumar bhi hai
is mein lakhon nizam-e-shamsi hain
yun to dil tira-rozgar bhi hai
is ki zau us ki garmiyan mat puchh
zindagi nur bhi hai nar bhi hai
ishq-e-hijran-nasib ka bhi hai dhyan
tere wade ka e'tibar bhi hai
ishq hi se hain manzilen aabaad
karwan karwan pukar bhi hai
koi samjha use na dekh saka
nigah-e-shoKH sharmsar bhi hai
us se chhuT kar ye sochta hun 'firaq'
is mein kuchh apna iKHtiyar bhi hai
Ghazal
Lutf-saman itab-e-yar bhi hai
Firaq Gorakhpuri