lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam ka nam nahin
dil pe KHuda ki mar ki phir bhi chain nahin aaram nahin
jitne munh hain utni baaten dil ka pata kya KHak chale
jis ne dil ki chori ki hai ek usi ka nam nahin
jalwa o dil mein farq nahin jalwe ko hi ab dil kahte hain
yani ishq ki hasti ka aaghaz to hai anjam nahin
ruk ke jo sansen aain gain mana ki wo aahen thin lekin
aap ne tewar kyun badle aahon mein kisi ka nam nahin
ishq ke aazari bhi kahin mar jaane se ji jate hain
le ye tasalli rahne de ai maut ye tera kaam nahin
kab se paDi hain dil mein tere zikr ki sari rahen band
barson guzre is basti mein rasm-e-salam-o-payam nahin
had thi ye betabi-e-dil ki jaaniye ab kya hona hai
sabr ki had bhi hone aai subh nahin ya sham nahin
dil pe apna bas nahin chalta un ki shikayat kya kije
aap hum apne dushman Thahre dost pe kuchh ilzam nahin
dil se kisi ki aankhon tak kuchh raaz ki baaten pahunchi hain
aankh se dil tak aaya ho aisa to koi paigham nahin
naza mein 'fani' tu ne ye kis ka chupke chupke nam liya
kyun o kafir teri zaban par ab bhi KHuda ka nam nahin
Ghazal
Lutf o karam ke putle ho ab qahr o sitam ka nam nahin
Fani Badayuni