اردو हिंदी
Lutf ki un se iltija na karen | Shaahi Shayari
lutf ki un se iltija na karen

Ghazal

Lutf ki un se iltija na karen

Hasrat Mohani

;

lutf ki un se iltija na karen
hum ne aisa kabhi kiya na karen

mil rahega jo un se milna hai
lab ko sharminda-e-dua na karen

sabr mushkil hai aarzu bekar
kya karen aashiqi mein kya na karen

maslak-e-ishq mein hai fikr haram
dil ko tadbir-ashna na karen

bhul hi jaen hum ko ye to na ho
log mere liye dua na karen

marzi-e-yar ke KHilaf na ho
kaun kahta hai wo jafa na karen

shauq un ka so miT chuka 'hasrat'
kya karen hum agar wafa na karen