lutf KHudi yahi hai ki shan-e-baqa rahun
insan ke libas mein ban kar KHuda rahun
jab mujh ko mere samne aane se aar hai
kis hausle pe tujh ko KHuda manta rahun
parde mein ek jhalak si dikhane se faeda
jalwe ko aam kar ki tujhe dekhta rahun
ek tu ki mere dil hi mein chhup kar paDa rahe
ek main ki har chihaar taraf DhunDhta rahun
tu hi bata ki ye koi insaf to nahin
tera hi juzw hone pe tujh se juda rahun
bheja hai ai KHuda mujhe kya tu ne is liye
har waqt zindagi mein rahin-e-bala rahun
har gam mujh ko kaba hi maqsud hai ratan
aaya hai wo maqam ki har dam jhuka rahun
Ghazal
Lutf KHudi yahi hai ki shan-e-baqa rahun
Ratan Pandorwi