اردو हिंदी
Lutf ka rabt hai koi na jafa ka rishta | Shaahi Shayari
lutf ka rabt hai koi na jafa ka rishta

Ghazal

Lutf ka rabt hai koi na jafa ka rishta

Taban Ghulam Rabbani

;

lutf ka rabt hai koi na jafa ka rishta
dil se kuchh dur hai zalim ki ana ka rishta

dast-e-isa bhi wahi bazu-e-qatil bhi wahi
kitna nazuk hai charaghon se hawa ka rishta

jabr-e-haalat kaho gham ki mukafat kaho
TuT bhi jata hai honTon se nawa ka rishta

sochiye to sabhi apne hain koi ghair nahin
hakim-e-shahr se hai jurm-o-saza ka rishta

manzar-e-zist mein kuchh rang to bhar deta hai
KHar-zaron se kisi aabla-pa ka rishta

phul nayab sahi zaKHm to nayab nahin
aaj bhi dil se wahi aab-o-hawa ka rishta

kya karen rasm-e-zamana ki shikayat 'taban'
dard se rakhte hain hum log sada ka rishta