lutf hi lutf hai jo kuchh hai inayat ke siwa
hai mohabbat se siwa jo hai mohabbat ke siwa
doston ke karam-e-KHas se bachne ke liye
koi gosha na mila gosha-e-uzlat ke siwa
mujh se shikwa bhi jo karte hain to ye kahte hain
kuchh bhi aata hi nahin tujh ko shikayat ke siwa
aap ke KHat ko main kis baat ka ghammaz kahun
is mein sab kuchh hai bas ek harf-e-mohabbat ke siwa
jis qadar chaho gunahon pe hanso KHub hanso
ye ilaj aur bhi hai ashk-e-nidamat ke siwa
wo jo kahte hain ki hai fahm o firasat hum se
aise logon mein sabhi kuchh hai firasat ke siwa
is nai baat ko bhi 'arsh' kabhi socha hai
aaj kal sher mein jiddat hai to jiddat ke siwa
Ghazal
Lutf hi lutf hai jo kuchh hai inayat ke siwa
Arsh Malsiyani