lutf-e-nihan se jab jab wo muskura diye hain
main ne bhi zaKHm dil ke un ko dikha diye hain
kuchh harf-e-arzu tha kuchh yaad-e-aish-e-rafta
jitne the naqsh dil mein hum ne miTa diye hain
fart-e-gham-o-alam se jab dil hua hai giryan
us ne inayaton ke dariya baha diye hain
dekhe hain tere tewar dhoka na khaenge ab
uThte the walwale kuchh hum ne daba diye hain
us dil-nashin ada ka matlab kabhi na samjhe
jab hum ne kuchh kaha hai wo muskura diye hain
shoKH kar diya hai chheDon se hum ne tum ko
kuchh hausle hamare tum ne baDha diye hain
koi tujh ko dekhe parda uThane wale
tu ne tajalliyon ke parde gira diye hain
karta hun 'wahshat' un se arz-e-niyaz-e-pinhan
is kaam ke tariqe dil ne bata diye hain
Ghazal
Lutf-e-nihan se jab jab wo muskura diye hain
Wahshat Raza Ali Kalkatvi