اردو हिंदी
Lutf-e-bahaar mushfiq-e-man dekhte chalo | Shaahi Shayari
lutf-e-bahaar mushfiq-e-man dekhte chalo

Ghazal

Lutf-e-bahaar mushfiq-e-man dekhte chalo

Arshad Ali Khan Qalaq

;

lutf-e-bahaar mushfiq-e-man dekhte chalo
bulbul ka Dhang rang-e-chaman dekhte chalo

bankon ko bankpan ko milao na KHak mein
tan tan ke yun na apna badan dekhte chalo

jate agar ho kucha-e-qatil ki sair ko
kapDa bhi thoDa bahr-e-kafan dekhte chalo

chashm-e-butan-e-dahr ki aafat hain shoKHiyan
sahra-e-husn ke bhi hiran dekhte chalo

kya kar rahi hai pesha-e-mashshatgi bahaar
aaraish-e-urus-e-chaman dekhte chalo

karti hai rah-e-shauq mein kis kis ko paemal
raftar-e-yar ke bhi chalan dekhte chalo

aae ho said-gah-e-jahan mein to ai 'qalaq'
tarz-e-shikar-e-tir-fagan dekhte chalo