lutf-e-aghaz mila lazzat-e-anjam ke baad
hausla dil ka baDha koshish-e-nakaam ke baad
ab KHuda jaane tujhe bhi hai talluq ki nahin
log lete hain mera nam tere nam ke baad
mai-kada tha to wahin rose chala jata tha
ab kahan koi Thikana hai mera sham ke baad
koi aaya hi nahin ku-e-wafa tak warna
kuchh bhi mushkil nahin ye rah do ek gam ke baad
ek do ghunT bahut talKH hai mai ki lekin
lutf aaega tujhe shaiKH do ek jam ke baad
waqt kaTta raha kaTti rahin rahen lekin
hum ne muD muD ke tumhein dekha har ek gam ke baad
kuchh to saqi se gila hoga 'hasan' ko warna
kaun mai-KHane se uThta hai do ek jam ke baad
Ghazal
Lutf-e-aghaz mila lazzat-e-anjam ke baad
Hasan Nayeem