lutf ab zist ka ai gardish-e-ayyam nahin
mai nahin yar nahin shisha nahin jam nahin
kab mujhe yaad ruKH o zulf-e-siyah-fam nahin
koi shaghl is ke siwa subh se ta sham nahin
har suKHan par mujhe deta hai wo bad-KHu dushnam
kaun si baat meri qabil-e-inam nahin
nek-nami mein dila firqa-e-ushshaq hain ishq
hai wo badnam mohabbat mein jo badnam nahin
chehra-e-yar ke saude mein kaha karta hun
ruKH hai ye subh nahin zulf hai ye sham nahin
bosa aankhon ka jo manga to wo hans kar bole
dekh lo dur se khane ke ye baadam nahin
halqa-e-zulf-e-butan mein hai bhari nikhat-e-gul
ai dil is lam mein bu-e-gul-e-islam nahin
ibtida ishq ki hai dekh 'amanat' hushyar
ye wo aaghaz hai jis ka koi anjam nahin
Ghazal
Lutf ab zist ka ai gardish-e-ayyam nahin
Amanat Lakhnavi