luTaun mastiyan sarsabz rahguzar ki tarah
dilon ko rahaten baKHshun hare shajar ki tarah
kare wo raat ki manind dagh dagh mujhe
main rang rang karunga use sahar ki tarah
wo dhup hai ki hawa phul hai ki shabnam hai
kabhi to dekh use sahib-e-nazar ki tarah
wo bewafa mujhe dil se nikal kar dekhe
main us ke zehn mein taDpun sada sharar ki tarah
ye roz-o-shab ka tasalsul bata raha hai mujhe
hai be-qarar mashiyyat abhi bashar ki tarah
payambaron ke sahife hain e'timad mera
jahan-e-zist mein phailunga bahr-o-bar ki tarah
sitam hai 'kazmi' ghar mein bhi ab sabhi lamhe
garan guzarte hain ehsas par safar ki tarah
Ghazal
LuTaun mastiyan sarsabz rahguzar ki tarah
Akbar Kazmi