luTao jaan to banti hai baat kis ne kaha
ye bazm-e-ishq mein raaz-e-hayat kis ne kaha
rah-e-talab mein sunata koi tarana-e-nau
yahan fasana-e-zat-o-sifat kis ne kaha
abhi sawabit-o-sayyar mein hai fasl bahut
simaT chuki hai bahut kaenat kis ne kaha
har ek choT pe khulti hai aankh insan ki
hain KHizr-e-rah-e-talab hadsat kis ne kaha
hum aasman ko zamin par utar lae magar
abhi nahin hai shuur-e-hayat kis ne kaha
hum apni dhun mein hain masruf kis taraf dekhen
hamein nahin hai gham-e-iltifat kis ne kaha
hamein sukun mayassar nahin magar 'aKHtar'
hamare daur ko daur-e-najat kis ne kaha
Ghazal
LuTao jaan to banti hai baat kis ne kaha
Akhtar Ansari Akbarabadi