luT jaegi hayat na thi ye KHabar mujhe
rona paDega hijr mein sham-o-sahar mujhe
uThta hun bar bar kaleje ko tham kar
dil mein chubho raha hai koi neshtar mujhe
duniya mein aansuon ki basa kar chali gain
achchha diya wafaon ka meri samar mujhe
bas ai junun-e-shauq bahut nam pa chuka
lillah aur dahr mein ruswa na kar mujhe
jalwe sameT ke dida-e-hairan mein rah na jaen
altaf-e-be-panah se dekha na kar mujhe
ishq-o-junun mein zist ko barbaad kar chuka
kahte hain log 'mazhar'-e-ashufta-sar mujhe
Ghazal
LuT jaegi hayat na thi ye KHabar mujhe
Syed Mazhar Gilani