lubha rahi to hai duniya chamak damak ki mujhe
magar hayat gawara nahin dhanak ki mujhe
hamesha apni laDai main aap laDta hun
nahin rahi kabhi hajat kisi kumak ki mujhe
bahut dinon se zaman o makan hail hain
ki aas bhi na rahi ab teri jhalak ki mujhe
mere qalam ki jo zad mein ye bahr o bar aate
duhai dene lage nan aur namak ki mujhe
mera guman yaqin mein badalta rahta hai
samajhne wale bhale hi samajh len shakki mujhe
chunanche gardish-e-ayyam thak ke baiTh gai
main saKHt-jaan hun kya pisti ye chakki mujhe
isi liye to main nimTa raha hun kaam apne
main jaanta hun ki mohlat hai aaj tak ki mujhe
ada kiya usi sikke mein be-jhijak main ne
hui jahan kahin mahsus bu hitak ki mujhe
KHarab-haal ye be-'KHair' o be-adab ho kar
bhaTak na jae kahin fikr hai saDak ki mujhe

Ghazal
Lubha rahi to hai duniya chamak damak ki mujhe
Rauf Khair