اردو हिंदी
Logon se dur saikDon logon ke sath hun | Shaahi Shayari
logon se dur saikDon logon ke sath hun

Ghazal

Logon se dur saikDon logon ke sath hun

Mushtaq Shad

;

logon se dur saikDon logon ke sath hun
main mauj ki tarah kai maujon ke sath hun

tanha bhi hun saDak pe kisi poll ki tarah
aur munsalik bhi dusre polon ke sath hun

tum ko to chhanw koi ghani chhanw chahiye
main aaj bhi jale hue peDon ke sath hun

bas ek qadam uTha to wahin TuT jaunga
misl-e-habab panw ke chhaalon ke sath hun

zindon ke darmiyan bhi lagta hai yun mujhe
main jaise sard-KHane ki lashon ke sath hun

yun KHushbuen bahaar ki bachchon ne din mujhe
go KHar hun pa lagta hai phulon ke sath hun

un aansuon ke sath nahin hun jo bah gae
jo dil mein ruk gae hain un ashkon ke sath hun