logon ki malamat bhi hai KHud dard-sari bhi
kis kaam ki ye apni wasia-un-nazari bhi
kya jaaniye kyun sust thi kal zehan ki raftar
mumkin hui taron se meri ham-safari bhi
raaton ko kali ban ke chaTakta tha tera jism
dhoke mein chali aai nasim-e-sahari bhi
KHud apne shab-o-roz guzar jaenge lekin
shamil hai mere gham mein teri dar-ba-dari bhi
furqat ke shab-o-roz mein kya kuchh nahin hota
qudarat pe malamat bhi dua-e-sahari bhi
ek fard ki ulfat to baDi kam-nazari hai
hai kis mein magar ahliyat-e-kam-nazari bhi

Ghazal
Logon ki malamat bhi hai KHud dard-sari bhi
Mustafa Zaidi