اردو हिंदी
Logon ke sabhi falsafe jhuTla to gae hum | Shaahi Shayari
logon ke sabhi falsafe jhuTla to gae hum

Ghazal

Logon ke sabhi falsafe jhuTla to gae hum

Imran Husain Azad

;

logon ke sabhi falsafe jhuTla to gae hum
dil jaise bhi samjha chalo samjha to gae hum

mayus bhala kyun hain ye duniya ke manazir
ab aankhon mein binai liye aa to gae hum

kis baat pe ruThe dar-o-diwar-e-makan hain
kuchh der se aae hain magar aa to gae hum

KHud rakh hue subh talak sach hai ye lekin
ai raat tere jism ko pighla to gae hum

roe hanse ujDe base bichhDe bhi mile bhi
dil sare tamashe tujhe dikhla to gae hum

kyun hashiye par aaj bhi rakhti hai kahani
kirdar nibhane ka hunar pa to gae hum

ab baDh ke zara DhunDh len manzil ke nishan bhi
uktae hue raste bahla to gae hum

sabun ki tarah KHud ko galana paDa be-shak
par lafz-e-mohabbat tujhe chamka to gae hum